An Inspirational poem of Hritik Roshan


"Darr se mat darr, kuch alag kar
6 ungliyon walaa kabhi kalakaar nahi ban paayega
darr tujhe ye samjhayega
par tu aatmavishwas dikhayega
tu darr se aankh milayega
darr se mat darr, darr ka saamna kar
aage bad, kuch alag kar
zindagi ke harr modd pe tujhe darr satayega
aur usi dard ka faayeda bina chuke ye darr uthayega
tujhse kahega ki tu aage kuch nahi kar paayega
par kya wo likhkar de paayega ki tu haar jaayega?
teri har kamzori par ye darr ghar banayega
par tu apna hunar dikhayega
usi kamzori ko tu apna taakat banaayega
aur uss din ye darr, tujhse darr jaayega
darr ka khel nidarr hoke khel 
darr se mat darr, aage badd 
bhula de darr. kuch alag kar..."



Post a Comment

0 Comments